% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: Jay Naik (naik@nynexst.com) % Raj Ganesan (cpd.tandem.com!raj) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % jahaa.N Daal-Daal par sone kii chi.Diyaa.n karatii hai baseraa vo bhaarat desh hai meraa jahaa.N satya, ahi.nsaa aur dharm kaa pag-pag lagataa Deraa vo bhaarat desh hai meraa ye dharatii vo jahaa.n R^ishhi muni japate prabhu naam kii maalaa jahaa.n har baalak ek mohan hai aur raadhaa har ek baalaa jahaa.n suuraj sabase pahale aa kar Daale apanaa pheraa vo bhaarat desh hai meraa alabelo.n kii is dharatii ke tyohaar bhii hai alabele kahii.n diivaalii kii jagamag hai kahii.n hai.n holii ke mele jahaa.n raag ra.ng aur ha.Nsii khushii kaa chaaro aur hai gheraa vo bhaarat desh hai meraa jahaa.n aasamaan se baate karate ma.ndir aur shivaale jahaa.n kisii nagar me kisii dvaar par koii na taalaa Daale prem kii ba.nsii jahaa.n bajaataa hai ye shaam saveraa vo bhaarat desh hai meraa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.