% % Contributor: ceindian@utacnvx.uta.edu (Porky) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ## hmmmmm ... ## meraa raajaa beTaa bUjhe ek pahelii pyaarI pyaarI a.Nkhiyo.n kii kaun sahelii (ni.ndiyaa) meraa raajaa beTaa bUjhe ek pahelii soe sab jaage saarii raat akelii (maa.N) 1) ban Than ke aa_e ni.ndiyaa lagaae chaa.Nd ke maathe pe bi.ndiyaa lagaae mukha.De pe chamake cha.Ndr kiraN meraa raajaa beTaa bUjhe ek pahelii kaun vo dulhan naar navelii (raat) 2) khoyaa a.ndhere me.n melaa jahaa.n kaa nain jharokho.n se sapano.n ne jhaa.Nkaa dhiire dhiire chale rii pAgal pavan meraa raajaa beTaa bUjhe ek pahelii champaa ke baalo.n me.n mahake chamelii (gajaraa) %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.