% % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: Sirisha K. Ayyagari (ayyagari@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % % ##Slow:## chhu.Daa ke daaman to jaa rahe ho Thahare kyuu.N do kadam pe jaa ke do kadam pe jaa ke khabar hai mujhako hai pyaar tujhako Thahare kyuu.n yuu.N nazar milaa ke yuu.N nazar milaa ke koras: tuu ruu ##Fast:## chhu.Daa ke daaman to jaa rahe ho - 2 Thahare kyuu.N do kadam pe jaa ke do kadam pe jaa ke khabar hai mujhako hai pyaar tujhako Thahare kyuu.N yuu.N nazar milaa ke yuu.N nazar milaa ke ko: la la chi ... nazar milaanaa bhii ek adaa hai nazar jhukaanaa bhii ik adaa hai ye baat sach hai kisiise pUchho nazar churaanaa bhii ik adaa hai hai udhar nahii.n kuchh udhar na dekho idhar hai vo dil jo tujhako chaahe bahut hasii.n hai tumhaaraa gussaa hame to isape bhii pyaar aaye tumhaarii aa.Nkho.n ne kyaa kahaa hai - 2 pUchho tum ye kariib aake haay ye kariib aake chhu.Daa ke daaman ... ko: la la ajiib haalat hai aaj apanii har ek tamannaa machal rahii hai kyuu.n aaj mujhako ye lag rahaa hai ki dil ki dha.Dakan badal rahii hai hai aashikaanaa mizaaz apanaa kaho tumhaaraa mizaaz kyaa hai agar kaho tum to mai.n bata duu.n chhupaa dil me.n vo raaz kyaa hai mai.n chaahatii huu.n ki tumako rakh luu.N - 2 apanii har saa.Ns me.n chhupaa ke saa.Ns me.n chhupaa ke chhuu.Daa ke daaman ... khabar hai mujhako ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.