% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Jasjit Singh (jasjit@cc.gatech.edu) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % laakho.n taare aasamaan me.n, ek magar Dhuu.nDhe naa milaa dekhake duniyaa kii diivaalii, dil meraa chupachaap jalaa dil meraa chupachaap jalaa ... qismat kaa hai naam magar, kaam hai ye duniyaa vaalo.n kaa phuu.nk diyaa hai chaman hamaare Kvaabo.n aur khayaalo.n kaa jii karataa hai khud hii gho.nT de.n, apane aramaano.n kaa galaa dekhake duniyaa kii diivaalii ... sau-sau sadiyo.n se lambii ye Gam kii raat nahii.n Dhalatii is a.ndhiyaare ke aage ab ai dil ek nahii.n chalatii ha.nsate hii luT gaI chaa.Ndanii, aur uThate hii chaa.Nd Dhalaa dekhake duniyaa kii diivaalii ... maut hai behatar is haalat se, naam hai jisakaa majabuurii kaun musaafir tay kar paayaa, dil se dil kii ye duurii kaa.nTo.n hii kaa.nTo.n se guzaraa, jo raahii is raah chalaa dekhake duniyaa kii diivaalii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.