% % Contributor: Sanjeev Ramabhadran (sanjeevr@phoenix.princeton.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ma: aajaa sanam madhur chaa.Ndanii me.n ham tum mile.n to viiraane me.n bhii aajaaegii bahaar jhUmane lagegaa aasamaa.n - 2 la: kahataa hai dil aur machalataa hai dil more saajan le chal mujhe taaro.n ke paar lagataa nahI.n hai dil yahaa.n - 2 ma: bhiigii-bhiigii raat me.n, dil kA daaman thaam le khoI-khoI zindagii haradam teraa naam le (la: chaa.Nd kii bahakii nazar, kah rahii hai pyaar kar zindagii hai ik safar, kaun jaane kal kidhar ) - 2 dono: aajaa sanam madhur ... ma: dil ye chaahe aaj to, baadal ban u.D jaaU.N mai.n dulhan jaisaa aasamaa.n, dharatii par le aaU.N mai.n (la: chaa.Nd kaa Dolaa saje, dhUm taaro.n me.n mache jhUm ke duniyaa kahe, pyaar me.n do dil mile ) - 2 dono: aajaa sanam madhur ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.