% % Contributor: % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % Credits: Jasjit Singh (jasjit@cc.gatech.edu) % Himanshu Gupta (gupta@grinch.csl.uiuc.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ye kyA jagah hai dosto.n, ye kaun saa dayAr hai had-e-nigAh tak jahA.n gubAr hI gubAr hai ye kyA jagah hai dosto.n ye kis mukaam par hayaat, mujhako leke aa gaI na bas khushI pe kahA.n, na Gam pe ikhtiyaar hai ye... tamAm umr kA hisAb mA.ngatI hai zindagI mA.ngatI hai zindagI ye merA dil kahe to kyA, ye khud se sharmasAr hai ye khud se sharmasAr hai ye... bulA rahA kyA koI chilamano.n ke us taraf chilamano.n ke us taraf mere liye bhI kyA koI udAs beqarAr hai udaas beqarAr hai ye... % (A nazm not in the song, but is there in the movie) na jisakI shakal hai koI, na jisakA naam hai koI ik aisI shai kA kyo.n hame.n azal se intazaar hai ye... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.