% % Contributor: ShashiKant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Jul 9 12:55:52 EDT 1995 % Credits: % Editor: % Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [38] % (RJGK 22) % A slow, very intoxicating song. MK has done more than justice % to this. His whispering voice is too much. You can literally % feel the heat melting the candle. % [Note: some words are spoken differently in the song than in % prose, e.g. "jisam", "hoNT", which is prose they are "jism", % "hoTh"] % % aapake bhiige hue jisam se aa.Nch aatii hai dil ko garmaatii hai, jazbaat ko bha.Dakaatii hai aapake paas jo aaegaa, pighal jaaegaa is haraarat se jo ulajhegaa, vo jal jaaegaa aapakaa husn vo shabanam hai jo sholo.n me.n pale garm khushbuo.n me.n tapate hue ra.Ngo.n me.n Dhale kisakaa dil hai jo sambhaale se sambhal jaaegaa ho.nT hai.n yaa kisii shaayar kii du_aao.n kaa javaab zulf hai.n yaa kisii saavan ke talabagaar kaa Kvaab aise jalavo.n ko jo dekhegaa machal jaaegaa is kadar husn zamaane me.n na dekhaa na sunaa usakaa kyaa kahanaa jise aapane hamaraaz chunaa usakii taqadiir kaa iinaam badal jaaegaa % % -- ShashiKant Joshi urf Pintu Diwana %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.