% % Contributor: Kalyan Kolachala (kal@chromatic.com) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Jul 9 13:18:51 EDT 1995 % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Sanjeev Ramabhadran (sanjeevr@phoenix.princeton.edu) % Editor: % Comments: % % khaamosh hai zamaanaa, chup-chup hai.n sitaare aaraam se ai duniyaa, bekal hai dil ke maare aise me.n koii aahaT, is tarah aa rahii hai jaise ki chal rahaa hai, man me koii hamaare yaa dil dha.Dak rahaa hai, is aah ke sahaare aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa -2 diipak baGair kaise, parvaane jal rahe hai.n -2 koii nahii.n chalaataa, aur tiir chal rahe hai.n ta.Dapegaa koii kab tak, be-aas be-sahaare -2 lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa bhaTakii huii javaanii, ma.Nzil ko Dhuu.NDhatii hai -2 maajhii baGair nayyaa, saahil ko Dhuu.NDhatii hai kyaa jaane dil kii kashtii, kab tak lage kinaare lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa -2 %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.