% % Contributor: Himanshu Gupta% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 08/07/1996 % Credits: Nitin Sharma % Neeraj Malhotra % Ashok Dhareshwar % Editor: Rajiv Shridhar % Comments: Released in 1959 % % bhaiyaa mere, raakhii ke ba.ndhan ko nibhaanaa bhaiyaa mere, chhoTii bahan ko na bhulaanaa dekho ye naataa nibhaanaa, nibhaanaa bhaiyaa mere... ye din ye tyohaar khushii kaa, paavan jaise niir nadii kaa bhaaii ke ujale maathe pe, bahan lagaae ma.ngal Tiikaa jhuume ye saavan suhaanaa, suhaanaa bhaiyaa mere... baa.Ndh ke hamane resham Dorii, tum se vo ummiid hai jo.Dii naazuk hai jo daa.Nt (?) ke jaise, par jiivan bhar jaae na to.Dii jaane ye saaraa zamaanaa, zamaanaa bhaiyaa mere... shaayad vo saavan bhii aae, jo bahanaa kaa ra.Ng na laae bahan paraae desh basii ho, agar vo tum tak pahu.Nch na paae yaad kaa diipak jalaanaa, jalaanaa bhaiyaa mere... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.