% % Contributor: Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Jan 26 22:02:45 EST 1996 % Credits: % Editor: % Comments: % % chaa.Nd chhupaa aur taare TuuTe raat Gazab kii aaii husn chalaa hai ishq se milane zulm kii badalii chhaaii TuuT pa.Dii hai aa.Ndhii Gam kii, aaj pavan hai paagal kaa.Np rahii hai dharatii saarii, chiikh rahe hai.n baadal duniyaa ke tuufaan hazaaro.n, husn kii ik tanahaaii ???, raah me.n phande laae ja.Ngal-ja.Ngal naach rahe hai.n shaitaano.n ke saae aaj Kudaa khaamosh hai jaise bhuul gayaa hai Kudaaii ghor a.Ndheraa mushkil raahe.n, kadam-kadam pe dhokhe aaj mohabbat ruk na sakegii, chaahe Kudaa bhii roke raah-e-vafaa pe piichhe haTanaa, pyaar kii hai rusvaaii %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.